ek shoala-e-hasrat hun miTa kyun nahin dete
ik sho.ala-e-hasrat huuñ miTā kyuuñ nahīñ dete
mujh ko mire jiine ki sazā kyuuñ nahīñ dete
maiñ jin ke liye roz salīboñ pe chaḌhā huuñ
vo merī vafāoñ kā sila kyuuñ nahīñ dete
kyuuñ dard kī shiddat ko baḌhāte ho tabībo
is dard-e-musalsal kī davā kyuuñ nahīñ dete
suntā huuñ ki har moḌ pe rahbar haiñ magar vo
mujh ko merī manzil kā pata kyuuñ nahīñ dete
kuchh baat 'nafas' dil meñ liye baiThe ho kab se
aa.e ho yahāñ tak to batā kyuuñ nahīñ dete
ek shoala-e-hasrat hun miTa kyun nahin dete
mujh ko mere jine ki saza kyun nahin dete
main jin ke liye roz salibon pe chaDha hun
wo meri wafaon ka sila kyun nahin dete
kyun dard ki shiddat ko baDhate ho tabibo
is dard-e-musalsal ki dawa kyun nahin dete
sunta hun ki har moD pe rahbar hain magar wo
mujh ko meri manzil ka pata kyun nahin dete
kuchh baat 'nafas' dil mein liye baiThe ho kab se
aae ho yahan tak to bata kyun nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.