ek soch aai dil mein tere intizar ki
ik soch aa.ī dil meñ tire intizār kī
aur apne-āp baḌh ga.ī raftār car kī
ye mājrā hai shahr meñ āvārgī kā dost
so baat is meñ dasht kī aa.e na ḳhaar kī
vo camere se jhaT mire kamre meñ aa ga.ī
us ḳhush-badan ne aaj bahut duur maar kī
dekhe baġhair vasl kī manzil ko sar kiyā
jismoñ ne ab sadā kī ravish iḳhtiyār kī
ab tez rābtoñ kī banīñ sūrateñ hazār
sūrat bachī na ek tire intizār kī
aks-o-sadā ne barq kī sūrat safar kiyā
pal meñ ḳhabar milī hai samundar ke paar kī
satreñ samajh ke roz lakīreñ paḌhā kiye
ham ne tirī hathelī kahānī shumār kī
apnī hī mauj mauj se pal pal muqābla
dariyā ne naav kitnī musībat se paar kī
ek soch aai dil mein tere intizar ki
aur apne-ap baDh gai raftar car ki
ye majra hai shahr mein aawargi ka dost
so baat is mein dasht ki aae na KHar ki
wo camere se jhaT mere kamre mein aa gai
us KHush-badan ne aaj bahut dur mar ki
dekhe baghair wasl ki manzil ko sar kiya
jismon ne ab sada ki rawish iKHtiyar ki
ab tez rabton ki banin suraten hazar
surat bachi na ek tere intizar ki
aks-o-sada ne barq ki surat safar kiya
pal mein KHabar mili hai samundar ke par ki
satren samajh ke roz lakiren paDha kiye
hum ne teri hatheli kahani shumar ki
apni hi mauj mauj se pal pal muqabla
dariya ne naw kitni musibat se par ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.