ek subh-e-arzi thi ki pal mein guzar gai
ik sub.h-e-ārzī thī ki pal meñ guzar ga.ī
ik shām-e-mustaqil thī ki zālim Thahar ga.ī
jalve ke izhdihām meñ kuchh sūjhtā nahīñ
nazzāre kī havas meñ matā.a-e-nazar ga.ī
yaaro ye kis navā-e-mohabbat kī guuñj thī
dekho to saarī bazm ko dīvāna kar ga.ī
un kī to ik adā-e-taġhāful kī baat thī
mere to ḳhvāb-e-shauq kī duniyā bikhar ga.ī
simTī to ek goshe meñ pinhāñ thī vo nigāh
chhalkī to kā.enāt ko sairāb kar ga.ī
āvārgī-e-shauq meñ guzregī ab kahāñ
ik shab to mai-kade kī fazā meñ guzar ga.ī
jaltī hai sar-barahna kaḌī dhuup meñ hayāt
vo chhāñv ahd-e-rafta kī āḳhir kidhar ga.ī
marne lage ho shoḳh nazāroñ pe āj-kal
sanjīdgī mizāj kī 'nāzim' kidhar ga.ī
ek subh-e-arzi thi ki pal mein guzar gai
ek sham-e-mustaqil thi ki zalim Thahar gai
jalwe ke izhdiham mein kuchh sujhta nahin
nazzare ki hawas mein mataa-e-nazar gai
yaro ye kis nawa-e-mohabbat ki gunj thi
dekho to sari bazm ko diwana kar gai
un ki to ek ada-e-taghaful ki baat thi
mere to KHwab-e-shauq ki duniya bikhar gai
simTi to ek goshe mein pinhan thi wo nigah
chhalki to kaenat ko sairab kar gai
aawargi-e-shauq mein guzregi ab kahan
ek shab to mai-kade ki faza mein guzar gai
jalti hai sar-barahna kaDi dhup mein hayat
wo chhanw ahd-e-rafta ki aaKHir kidhar gai
marne lage ho shoKH nazaron pe aaj-kal
sanjidgi mizaj ki 'nazim' kidhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.