ek sukut-e-bekaran shoala-bayani se alag
ik sukūt-e-bekarāñ sho.ala-bayānī se alag
ek duniyā hai mire shahr-e-ma.ānī se alag
mauj ḳhud sākit khaḌī thī yā ki thā ye dām-e-āb
kyā thā vo Thahrāv sā paiham ravānī se alag
vo bayāñ āhang jis kā dil ko chhalnī kar gayā
garm-guftārī se haT kar be-zabānī se alag
saarī ḳhushiyāñ jhuuT haiñ har muskurāhaT hai fareb
aao ik duniyā basā.eñ shādmānī se alag
maiñ bhī apnī zaat ke haibat-kade meñ huuñ asiir
vo bhī rūh-e-muztarib qaid-e-makānī se alag
rabt-e-bāham par na thā harf-e-tasalsul kā murād
ya.anī har kirdār thā dil kī kahānī se alag
aur kitnā roiyegā yaad kar 'āzād' ko
ek din honā hī thā is dār-e-fānī se alag
ek sukut-e-bekaran shoala-bayani se alag
ek duniya hai mere shahr-e-maani se alag
mauj KHud sakit khaDi thi ya ki tha ye dam-e-ab
kya tha wo Thahraw sa paiham rawani se alag
wo bayan aahang jis ka dil ko chhalni kar gaya
garm-guftari se haT kar be-zabani se alag
sari KHushiyan jhuT hain har muskurahaT hai fareb
aao ek duniya basaen shadmani se alag
main bhi apni zat ke haibat-kade mein hun asir
wo bhi ruh-e-muztarib qaid-e-makani se alag
rabt-e-baham par na tha harf-e-tasalsul ka murad
yani har kirdar tha dil ki kahani se alag
aur kitna roiyega yaad kar 'azad' ko
ek din hona hi tha is dar-e-fani se alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.