ek talluq sa kisi nam se jab hota hai
ik ta.alluq sā kisī naam se jab hotā hai
be-sabab bhī koī jiine kā sabab hotā hai
bārhā sochā magar tum ko batā bhī na sakī
ġham kā ehsās mirī ruuh ko kab hotā hai
DhūñDhtā rahtā hai aksar mire andar tujh ko
merī tanhā.ī kā aalam bhī ajab hotā hai
yuuñ ba-zāhir sabhī anjān nazar aate haiñ
jānte sab haiñ ki is shahr meñ sab hotā hai
uTh gayā jaise zamāne se mohabbat kā chalan
kaun ab kis ke liye ḳhanda-ba-lab hotā hai
lafz bhī khol nahīñ paate kabhī lab apne
dūsrā naam mohabbat kā adab hotā hai
apne āġhāz se chaltī huuñ maiñ anjām kī samt
merī sub.hoñ kā safar jānib-e-shab hotā hai
kisī tinke kā sahārā nahīñ miltā mujh ko
Duub jaanā mirī taqdīr meñ jab hotā hai
chand be-nām se rishte haiñ laboñ par 'ūshā'
koī duniyā meñ kisī kā bhalā kab hotā hai
ek talluq sa kisi nam se jab hota hai
be-sabab bhi koi jine ka sabab hota hai
barha socha magar tum ko bata bhi na saki
gham ka ehsas meri ruh ko kab hota hai
DhunDhta rahta hai aksar mere andar tujh ko
meri tanhai ka aalam bhi ajab hota hai
yun ba-zahir sabhi anjaan nazar aate hain
jaante sab hain ki is shahr mein sab hota hai
uTh gaya jaise zamane se mohabbat ka chalan
kaun ab kis ke liye KHanda-ba-lab hota hai
lafz bhi khol nahin pate kabhi lab apne
dusra nam mohabbat ka adab hota hai
apne aaghaz se chalti hun main anjam ki samt
meri subhon ka safar jaanib-e-shab hota hai
kisi tinke ka sahaara nahin milta mujh ko
Dub jaana meri taqdir mein jab hota hai
chand be-nam se rishte hain labon par 'usha'
koi duniya mein kisi ka bhala kab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.