ek tabassum hama-ayyam-e-giran-bari bhi
ik tabassum hama-ayyām-e-girāñ-bārī bhī
ne’mat-e-ḳhuld hai fitrat meñ subuksārī bhī
ik zamāne baḌā ḳhāmosh rahā zehn-e-rasā
ab to bāhar ko ubaltī hai ye almārī bhī
'ain mumkin hai tanaffus kī suhūlat na rahe
kis ko raas aa.ī hai marzī se giraftārī bhī
jang kā faisla 'ujlat meñ nahīñ karnā thā
tū qabīla bhī gañvā baiThā hai sardārī bhī
dost barsoñ se yahī taur chalā aatā hai
mirā īqān salāmat tirī 'ayyārī bhī
ham dil-e-ḳhānamāñ-barbād liye phirte haiñ
haa.e kyā shai hai mohabbat kī ‘azā-dārī bhī
ek tabassum hama-ayyam-e-giran-bari bhi
ne’mat-e-KHuld hai fitrat mein subuksari bhi
ek zamane baDa KHamosh raha zehn-e-rasa
ab to bahar ko ubalti hai ye almari bhi
'ain mumkin hai tanaffus ki suhulat na rahe
kis ko ras aai hai marzi se giraftari bhi
jang ka faisla 'ujlat mein nahin karna tha
tu qabila bhi ganwa baiTha hai sardari bhi
dost barson se yahi taur chala aata hai
mera iqan salamat teri 'ayyari bhi
hum dil-e-KHanaman-barbaad liye phirte hain
hae kya shai hai mohabbat ki ‘aza-dari bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.