ek tabassum ka tha sauda hum ko
ik tabassum kā thā saudā ham ko
tū ne saste meñ ḳharīdā ham ko
mauj-dar-mauj hai ġham-hā-e-firāq
paar karnā hai ye dariyā ham ko
bhūlte jaate haiñ tujh ko jānāñ
zaḳhm de phir koī taaza ham ko
baiTh jaate kisī dīvār ke saath
kab huā ye bhī gavāra ham ko
ai falak thoḌī sī rahmat ham par
ai zamīñ thoḌā sā TukḌā ham ko
ek tabassum ka tha sauda hum ko
tu ne saste mein KHarida hum ko
mauj-dar-mauj hai gham-ha-e-firaq
par karna hai ye dariya hum ko
bhulte jate hain tujh ko jaanan
zaKHm de phir koi taza hum ko
baiTh jate kisi diwar ke sath
kab hua ye bhi gawara hum ko
ai falak thoDi si rahmat hum par
ai zamin thoDa sa TukDa hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.