ik tabassum se ham ne rok liye
vaar jitne ġham-e-jahāñ ne kiye
kah rahe haiñ havā se rāz-e-chaman
koī ġhunchoñ ke bhī to hoñT siye
kaif kyā chiiz hai ḳhumār hai kyā
ye samajh kar sharāb kaun piye
ḳhatm jab ho ga.iiñ tamannā.eñ
ham na.e hausloñ ke saath jiye
ruḳh havā kā badal gayā shāyad
ghar ke bāhar bhī jal rahe haiñ diye
phuul ḳhud ho ga.e garebāñ-chāk
mausam-e-gul ke chaak kaun siye
apne dil par sajā liye 'shā.ir'
zaḳhm ham ko jo us nazar ne diye
ek tabassum se hum ne rok liye
war jitne gham-e-jahan ne kiye
kah rahe hain hawa se raaz-e-chaman
koi ghunchon ke bhi to honT siye
kaif kya chiz hai KHumar hai kya
ye samajh kar sharab kaun piye
KHatm jab ho gain tamannaen
hum nae hauslon ke sath jiye
ruKH hawa ka badal gaya shayad
ghar ke bahar bhi jal rahe hain diye
phul KHud ho gae gareban-chaak
mausam-e-gul ke chaak kaun siye
apne dil par saja liye 'shair'
zaKHm hum ko jo us nazar ne diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.