ek taswir pe khinch rakhe hain tu ne kitne rang ke dukh
ik tasvīr pe khīñch rakhe haiñ tū ne kitne rang ke dukh
mere musavvir tujh se bane na.ī lekin mere Dhang ke dukh
yaar tirī vo nasrī chintā tū ne sunā.ī sab ne sunī
kaun sunegā jab maiñ chheḌūñgā apne āhang ke dukh
ishq-o-junūñ kī jang huī kal raat badan ke maidāñ meñ
dil ko aaj manāne hoñge biitī raat kī jang ke dukh
qismat kī har thaap ko maiñ sangīt banā.ūñ tū gaa.e
tak-dhan-tā kī dhun par raqs kareñ phir mujh mirdang ke dukh
jaise ik sayyād kī aahaT pā kar panchhī ho ga.e phur
terī ek chhuan bhar se kāfūr hue añg añg ke dukh
pyāsī jogan dhartī kī siskī sun kar ram ho na sakā
phir to jhamā-jham TuuT ke barse bādal mast malang ke dukh
phir vahī ḳhvāb kī ḳhushbū hai vahī sahrā hai par thak ga.e ham
yaar shikārī tiir chalā ab har le is sārang ke dukh
ek taswir pe khinch rakhe hain tu ne kitne rang ke dukh
mere musawwir tujh se bane nai lekin mere Dhang ke dukh
yar teri wo nasri chinta tu ne sunai sab ne suni
kaun sunega jab main chheDunga apne aahang ke dukh
ishq-o-junun ki jang hui kal raat badan ke maidan mein
dil ko aaj manane honge biti raat ki jang ke dukh
qismat ki har thap ko main sangit banaun tu gae
tak-dhan-ta ki dhun par raqs karen phir mujh mirdang ke dukh
jaise ek sayyaad ki aahaT pa kar panchhi ho gae phur
teri ek chhuan bhar se kafur hue ang ang ke dukh
pyasi jogan dharti ki siski sun kar ram ho na saka
phir to jhama-jham TuT ke barse baadal mast malang ke dukh
phir wahi KHwab ki KHushbu hai wahi sahra hai par thak gae hum
yar shikari tir chala ab har le is sarang ke dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.