ek tera tasawwur hi aaKHiri sahaara hai
ik tirā tasavvur hī āḳhirī sahārā hai
varna dil kā ā.īna kab se pāra-pāra hai
zindagī ḳhabar bhī hai bevafā zamāne meñ
maiñ ne terī zulfoñ ko kis tarah sañvārā hai
ek dil kī tanhā.ī aur sau ġham-e-daurāñ
maiñ ne dard-e-duniyā pe dard-e-dil ko vaarā hai
maiñ huuñ is kināre par tum ho us kināre par
biich meñ samundar kā kitnā tez dhārā hai
dil taḌap ga.e hoñge baaġh meñ 'anādil ke
maiñ ne bevafā tujh ko jis tarah pukārā hai
izhdihām-e-jalva hai bārish-e-tajallī hai
dāman-e-nazar kis ne shauq se pasārā hai
log Thiik kahte haiñ qabr par mirī aa kar
maut se ye kyā martā zindagī ne maarā hai
dil ke ābgīne ko Thes lag ga.ī kaise
kyā kisī ne phir mujh ko duur se pukārā hai
bol tere kānoñ se kis kī chīḳh Takrā.ī
haa.e kitnā larzīda terā goshvāra hai
ai 'sahar' chale aate tum bhī sair-e-gulshan ko
bād-e-nau-bahārī hai shabnamī nazzārā hai
ek tera tasawwur hi aaKHiri sahaara hai
warna dil ka aaina kab se para-para hai
zindagi KHabar bhi hai bewafa zamane mein
main ne teri zulfon ko kis tarah sanwara hai
ek dil ki tanhai aur sau gham-e-dauran
main ne dard-e-duniya pe dard-e-dil ko wara hai
main hun is kinare par tum ho us kinare par
bich mein samundar ka kitna tez dhaara hai
dil taDap gae honge bagh mein 'anadil ke
main ne bewafa tujh ko jis tarah pukara hai
izhdiham-e-jalwa hai barish-e-tajalli hai
daman-e-nazar kis ne shauq se pasara hai
log Thik kahte hain qabr par meri aa kar
maut se ye kya marta zindagi ne mara hai
dil ke aabgine ko Thes lag gai kaise
kya kisi ne phir mujh ko dur se pukara hai
bol tere kanon se kis ki chiKH Takrai
hae kitna larzida tera goshwara hai
ai 'sahar' chale aate tum bhi sair-e-gulshan ko
baad-e-nau-bahaari hai shabnami nazzara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.