ek to main dusra akela-pan
ik to maiñ dūsrā akelā-pan
aur phir raat kā akelā-pan
raas aane lagī hai tanhā.ī
lutf dene lagā akelā-pan
merī nākāmiyoñ kā bā'is hai
ye mirī zaat kā akelā-pan
jā.eza le mirī udāsī kā
dekhtā jā mirā akelā-pan
tum samajhte to chārāgar hote
ek bīmār kā akelā-pan
dasht se pahlī āshnā.ī hai
raqs karne lagā akelā-pan
ek to dukh shikasta-pā.ī kā
us pe ye raah kā akelā-pan
ghar kī dīvār par numāyāñ hai
ghar ke afrād kā akelā-pan
ek to main dusra akela-pan
aur phir raat ka akela-pan
ras aane lagi hai tanhai
lutf dene laga akela-pan
meri nakaamiyon ka ba'is hai
ye meri zat ka akela-pan
jaeza le meri udasi ka
dekhta ja mera akela-pan
tum samajhte to chaaragar hote
ek bimar ka akela-pan
dasht se pahli aashnai hai
raqs karne laga akela-pan
ek to dukh shikasta-pai ka
us pe ye rah ka akela-pan
ghar ki diwar par numayan hai
ghar ke afrad ka akela-pan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.