ek tum ki ho be-KHabar sada ke
ik tum ki ho be-ḳhabar sadā ke
mausam hai ki haath mal rahā hai
zāhir meñ sabā-ḳhirām ḳhushbū
bātin meñ nifāq pal rahā hai
ai lazzat-e-hijr yaad rakhnā
ye lamha-e-vasl khal rahā hai
ā.īne meñ aks Dhal rahā hai
paanī meñ charāġh jal rahā hai
āñkhoñ meñ ġhubār manziloñ kā
qadmoñ meñ sarāb chal rahā hai
jaise koī yaad aa rahā ho
āñkhoñ meñ nasha pighal rahā hai
ham us ke mizāj-āshnā haiñ
jo baat kā ruḳh badal rahā hai
ek tum ki ho be-KHabar sada ke
mausam hai ki hath mal raha hai
zahir mein saba-KHiram KHushbu
baatin mein nifaq pal raha hai
ai lazzat-e-hijr yaad rakhna
ye lamha-e-wasl khal raha hai
aaine mein aks Dhal raha hai
pani mein charagh jal raha hai
aankhon mein ghubar manzilon ka
qadmon mein sarab chal raha hai
jaise koi yaad aa raha ho
aankhon mein nasha pighal raha hai
hum us ke mizaj-ashna hain
jo baat ka ruKH badal raha hai
- Book : Nai Pakistani Ghazal Naye Dastakhat (Pg. 26)
- Author : Nishat Shahid
- Publication : Miaar Publications K 20 C Shaikh Saraye Phase2 New Delhi (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.