ek umar sath sath mere zindagi rahi
ik umar saath saath mire zindagī rahī
lekin kisī baḳhīl kī daulat banī rahī
meyār-e-fan pe vaqt kā jaadū na chal sakā
duniyā qarīb ho ke bahut duur hī rahī
mahkī huī sahar se mirā vāsta rahā
jaltī huī shaboñ se mirī dostī rahī
tanhā.iyoñ ke dasht meñ kuchh phuul se khile
raqsāñ shab-e-firāq koī chāndnī rahī
ek umar sath sath mere zindagi rahi
lekin kisi baKHil ki daulat bani rahi
meyar-e-fan pe waqt ka jadu na chal saka
duniya qarib ho ke bahut dur hi rahi
mahki hui sahar se mera wasta raha
jalti hui shabon se meri dosti rahi
tanhaiyon ke dasht mein kuchh phul se khile
raqsan shab-e-firaq koi chandni rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.