ek umr dil ki ghat se tujh par nigah ki
ik umr dil kī ghaat se tujh par nigāh kī
tujh par tirī nigāh se chhup kar nigāh kī
rūhoñ meñ jaltī aag ḳhayāloñ meñ khilte phuul
saarī sadāqateñ kisī kāfir nigāh kī
jab bhī ġham-e-zamāna se āñkheñ huiiñ do-chār
muñh pher kar tabassum-e-dil par nigāh kī
bāgeñ khiñchīñ masāfateñ kaḌkīñ faras ruke
maazī kī rath se kis ne palaT kar nigāh kī
donoñ kā rabt hai tirī mauj-e-ḳhirām se
laġhzish ḳhayāl kī ho ki Thokar nigāh kī
ek umr dil ki ghat se tujh par nigah ki
tujh par teri nigah se chhup kar nigah ki
ruhon mein jalti aag KHayalon mein khilte phul
sari sadaqaten kisi kafir nigah ki
jab bhi gham-e-zamana se aankhen huin do-chaar
munh pher kar tabassum-e-dil par nigah ki
bagen khinchin masafaten kaDkin faras ruke
mazi ki rath se kis ne palaT kar nigah ki
donon ka rabt hai teri mauj-e-KHiram se
laghzish KHayal ki ho ki Thokar nigah ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.