ek umr guzari hai tab raaz ye samjha hai
ik umr guzārī hai tab raaz ye samjhā hai
jo kuchh hai mohabbat hai duniyā hai ye uqbā hai
ik aap kā dāman hai ma.amūr murādoñ se
ik merā garebāñ hai jo ḳhuun meñ luthḌā hai
iḳhlās se aarī hai ab pursish-e-ġham ai dil
ye rasm hī duniyā se uTh jaa.e to achchhā hai
is daur-e-kashākash meñ ham huuñ ki 'ziyā' tum ho
bikhre hue motī haiñ TuuTā huā rishta hai
ek umr guzari hai tab raaz ye samjha hai
jo kuchh hai mohabbat hai duniya hai ye uqba hai
ek aap ka daman hai mamur muradon se
ek mera gareban hai jo KHun mein luthDa hai
iKHlas se aari hai ab pursish-e-gham ai dil
ye rasm hi duniya se uTh jae to achchha hai
is daur-e-kashakash mein hum hun ki 'ziya' tum ho
bikhre hue moti hain TuTa hua rishta hai
- Book : Shab Charagh (Pg. 50)
- Author : Bakhtiyar Ziya
- Publication : Markaz-e-adab (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.