Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek umr hui aur main apne se juda hun

Tabish Siddiqui

ek umr hui aur main apne se juda hun

Tabish Siddiqui

MORE BYTabish Siddiqui

    ik umr huī aur maiñ apne se judā huuñ

    ḳhushbū tarah ḳhud ko sadā DhūñD rahā huuñ

    har lamha tirī yaad ke saa.e meñ kaTā hai

    thak thak ke har ik gaam pe jab baiTh gayā huuñ

    laakh judā mujh se rahe paas hai mere

    gumbad-e-hastī hai to maiñ is sadā huuñ

    har saañs tirī bād-e-sahar koī jhoñkā

    maiñ phuul nahīñ aur tire raste meñ khilā huuñ

    tasvīr har nok palak hai mire ḳhuuñ se

    ik rañg huuñ maiñ aur tire ḳhvāboñ meñ ghulā huuñ

    har saañs chalī aatī hai jaañ haath meñ le kar

    maiñ sochtā huuñ maiñ bhī koī koh-e-nidā huuñ

    zinda huuñ ki marnā mirī qismat meñ likhā hai

    har roz gunāhoñ sazā kaaT rahā huuñ

    ik ālam-e-tanhā.ī hai kuchh dekhā huā

    shāyad ki maiñ apne bayābāñ meñ khaḌā huuñ

    ye haal mirā merī mohabbat sila hai

    jo apne dāman se bujhā ho vo diyā huuñ

    chāñd hai maiñ chāñd anjām-e-safar huuñ

    āñkhoñ meñ tirī duur kahīñ Duub gayā huuñ

    rusvā huuñ magar ḳhud se chhupā phirtā huuñ 'tābish'

    apne se nihāñ saare zamāne pe khulā huuñ

    ek umr hui aur main apne se juda hun

    KHushbu ki tarah KHud ko sada DhunD raha hun

    har lamha teri yaad ke sae mein kaTa hai

    thak thak ke har ek gam pe jab baiTh gaya hun

    tu lakh juda mujh se rahe pas hai mere

    tu gumbad-e-hasti hai to main is ki sada hun

    har sans teri baad-e-sahar ka koi jhonka

    main phul nahin aur tere raste mein khila hun

    taswir ki har nok palak hai mere KHun se

    ek rang hun main aur tere KHwabon mein ghula hun

    har sans chali aati hai jaan hath mein le kar

    main sochta hun main bhi koi koh-e-nida hun

    zinda hun ki marna meri qismat mein likha hai

    har roz gunahon ki saza kaT raha hun

    ek aalam-e-tanhai hai kuchh dekha hua sa

    shayad ki main apne hi bayaban mein khaDa hun

    ye haal mera meri mohabbat ka sila hai

    jo apne hi daman se bujha ho wo diya hun

    tu chand hai main chand ka anjam-e-safar hun

    aankhon mein teri dur kahin Dub gaya hun

    ruswa hun magar KHud se chhupa phirta hun 'tabish'

    apne se nihan sare zamane pe khula hun

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 387)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now