ek umr ki ummid ka anjam bas ek aah
ik umr kī ummīd kā anjām bas ik aah
is daur meñ jiine kā hai in.aam bas ik aah
shāyad kisī ḳhush-baḳht ne kuchh aur sunā ho
mahsūs huī ham ko to har gaam bas ik aah
ik maiñ hī nahīñ tum bhī pareshān khaḌī ho
hoñToñ pe liye apne sar-e-bām bas ik aah
duniyā meñ bahut kuchh hai magar ye bhī to sach hai
likh dī hai muqaddar ne mire naam bas ik aah
ai gulshan-e-pur-kaif ke betāb shagūfo
hañste hue phūloñ kā hai anjām bas ik aah
ek umr ki ummid ka anjam bas ek aah
is daur mein jine ka hai inam bas ek aah
shayad kisi KHush-baKHt ne kuchh aur suna ho
mahsus hui hum ko to har gam bas ek aah
ek main hi nahin tum bhi pareshan khaDi ho
honTon pe liye apne sar-e-baam bas ek aah
duniya mein bahut kuchh hai magar ye bhi to sach hai
likh di hai muqaddar ne mere nam bas ek aah
ai gulshan-e-pur-kaif ke betab shagufo
hanste hue phulon ka hai anjam bas ek aah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.