ek umr mein ab samjha duniya ka ye hasil tha
ek umr mein ab samjha duniya ka ye hasil tha
Mohammad Saeed Razmi
MORE BYMohammad Saeed Razmi
ik umr meñ ab samjhā duniyā kā ye hāsil thā
jo naqsh thā dhokā thā jo rañg thā bātil thā
hañgāma-e-hastī se fursat jo milī dekhā
ik dāġh-e-nadāmat hī kul ziist kā hāsil thā
ai mauj-e-lab-e-dariyā sar piiT na tū apnā
jo ġharq huā us meñ āzurda-e-sāhil thā
kuchh zauq-e-samā.at hī duniyā ko na thā varna
har sāz-e-ḳhamoshī meñ ik zamzama-e-dil thā
tūfān-e-havādis meñ jab ġhaur kiyā maiñ ne
ḳhud aap hī dariyā thā ḳhud aap hī sāhil thā
duniyā-e-mohabbat meñ ka.aba thā na but-ḳhāna
har naqsh-e-qadam terā ek sajda-gah-e-dil thā
har saañs se paidā thā ik mahshar-e-rusvā.ī
maanā ki tirā 'razmī' ḳhāmosh thā ġhāfil thā
ek umr mein ab samjha duniya ka ye hasil tha
jo naqsh tha dhoka tha jo rang tha baatil tha
hangama-e-hasti se fursat jo mili dekha
ek dagh-e-nadamat hi kul zist ka hasil tha
ai mauj-e-lab-e-dariya sar piT na tu apna
jo gharq hua us mein aazurda-e-sahil tha
kuchh zauq-e-samaat hi duniya ko na tha warna
har saz-e-KHamoshi mein ek zamzama-e-dil tha
tufan-e-hawadis mein jab ghaur kiya main ne
KHud aap hi dariya tha KHud aap hi sahil tha
duniya-e-mohabbat mein kaba tha na but-KHana
har naqsh-e-qadam tera ek sajda-gah-e-dil tha
har sans se paida tha ek mahshar-e-ruswai
mana ki tera 'razmi' KHamosh tha ghafil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.