ek umr se jis ko liye phirta hun nazar mein
ik umr se jis ko liye phirtā huuñ nazar meñ
vo ruup hai sūraj meñ na vo rañg sahar meñ
chaltī haiñ havā.eñ to baras jaatī haiñ āñkheñ
chhā.e haiñ tirī yaad ke bādal mire ghar meñ
hairāñ hue jaate haiñ mujhe dekhne vaale
ā.īna muallaq hai mire dīda-e-tar meñ
ik chāñd ko chhūne kī tamannā meñ huuñ pāgal
bādal sā uḌā jaatā huuñ ḳhvāboñ ke safar meñ
motī mirī āñkhoñ ne luTā Daale haiñ 'fāḳhir'
ḳhush-rañg koī phuul khilā jab bhī jigar meñ
ek umr se jis ko liye phirta hun nazar mein
wo rup hai suraj mein na wo rang sahar mein
chalti hain hawaen to baras jati hain aankhen
chhae hain teri yaad ke baadal mere ghar mein
hairan hue jate hain mujhe dekhne wale
aaina muallaq hai mere dida-e-tar mein
ek chand ko chhune ki tamanna mein hun pagal
baadal sa uDa jata hun KHwabon ke safar mein
moti meri aankhon ne luTa Dale hain 'faKHir'
KHush-rang koi phul khila jab bhi jigar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.