ek uske dar ke siwa aur main kidhar jati
ik us ke dar ke sivā aur maiñ kidhar jaatī
use pukārte ye zindagī guzar jaatī
mujhe lagā thā vo mere baġhair mar jaatā
use lagā thā maiñ us ke baġhair mar jaatī
mujhe to ishq bhī pyārā thā aur duniyā bhī
judā the rāste donoñ ke maiñ kidhar jaatī
hazāroñ aib haiñ mujh meñ magar suno to sahī
tumhāre pyaar kī shiddat meñ maiñ sañvar jaatī
ek us ke dar ke siwa aur main kidhar jati
use pukarte ye zindagi guzar jati
mujhe laga tha wo mere baghair mar jata
use laga tha main us ke baghair mar jati
mujhe to ishq bhi pyara tha aur duniya bhi
juda the raste donon ke main kidhar jati
hazaron aib hain mujh mein magar suno to sahi
tumhaare pyar ki shiddat mein main sanwar jati
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.