ek uski hansi aur adaon ki dhun
ik us kī hañsī aur adāoñ kī dhun
badal de rahī hai havāoñ kī dhun
ye tū ne hī kholīñ haiñ zulfeñ yā phir
kisī ne bajā.ī hai chhāñv kī dhun
inheñ gar tū rakh de mire siine par
to dhaḌkan sunā.egī paañv kī dhun
sunātī hai jis dhun meñ maañ loriyāñ
kuchh aisī hī hogī ḳhudāoñ kī dhun
mire kānoñ meñ ab bhī maujūd hai
vo hoñToñ se niklī duāoñ kī dhun
mohabbat ke sur tujh se rūThe haiñ 'sāz'
na bajtī thī tujh se vafāoñ kī dhun
ek us ki hansi aur adaon ki dhun
badal de rahi hai hawaon ki dhun
ye tu ne hi kholin hain zulfen ya phir
kisi ne bajai hai chhanw ki dhun
inhen gar tu rakh de mere sine par
to dhaDkan sunaegi panw ki dhun
sunati hai jis dhun mein man loriyan
kuchh aisi hi hogi KHudaon ki dhun
mere kanon mein ab bhi maujud hai
wo honTon se nikli duaon ki dhun
mohabbat ke sur tujh se ruThe hain 'saz'
na bajti thi tujh se wafaon ki dhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.