ek wahi KHush-jamal thoDi hai
ek wahi KHush-jamal thoDi hai
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
ik vahī ḳhush-jamāl thoḌī hai
husn vāloñ kā kaal thoḌī hai
tazkira be-vafā kā ho rahā hai
ye tumhārī misāl thoḌī hai
ye jo hijrat hai 'ārzī hai janāb
mustaqil intiqāl thoḌī hai
dard-e-hijrāñ ne ye kiyā sābit
har kisī ko zavāl thoḌī hai
kyuuñ tujhe shāmil-e-darūd karūñ
to mohammad kī aal thoḌī hai
tujhe apnā samajh ke māñgā hai
har kisī se savāl thoḌī hai
kyā zarūrī hai sab zabāñ se kahūñ
chashm-e-pur-nam kā haal thoḌī hai
ye mohabbat rahegī mahshar tak
ek shab kā visāl thoḌī hai
aañkh bhar ke vo dekhtā hai mujhe
is kā matlab visāl thoḌī hai
jaao naḳhvat tumheñ mubārak ho
husn vāloñ kā kaal thoḌī hai
hijr kā mashvara mufīd hogā
dost hai bad-sigāl thoḌī hai
bose ab lenā chhoḌiye sāhab
gul hai ye us kā gaal thoḌī hai
un kī nazar-e-karam meñ shāmil huuñ
is meñ merā kamāl thoḌī hai
use andhā bhī dekh saktā hai
ye badar hai hilāl thoḌī hai
ḳhaak miTTī tale dabā.ī ga.ī
ruuh kā intiqāl thoḌī hai
ḳhvāb chubhte rahe haiñ āñkhoñ meñ
rang vaise hī laal thoḌī hai
fikr lāhiq hai rozī-roTī kī
mujh ko terā ḳhayāl thoḌī hai
saañs ūñchā luuñ maiñ madīne meñ
merī itnī majāl thoḌī hai
us se bachnā muhāl hai yaaro
mere dushman kī chaal thoḌī hai
dil ko Thokar zarā sī lag ga.ī hai
is kā matlab zavāl thoḌī hai
chhīn saktā nahīñ koī mujh se
'ilm hai ye manāl thoḌī hai
saare 'ushshāq shaad phirte haiñ
ye barahman kā saal thoḌī hai
jab bhī chāho uThā do 'zamzam' ko
ye faqīroñ kā baal thoḌī hai
ek wahi KHush-jamal thoDi hai
husn walon ka kal thoDi hai
tazkira be-wafa ka ho raha hai
ye tumhaari misal thoDi hai
ye jo hijrat hai 'arzi hai janab
mustaqil intiqal thoDi hai
dard-e-hijran ne ye kiya sabit
har kisi ko zawal thoDi hai
kyun tujhe shamil-e-darud karun
to mohammad ki aal thoDi hai
tujhe apna samajh ke manga hai
har kisi se sawal thoDi hai
kya zaruri hai sab zaban se kahun
chashm-e-pur-nam ka haal thoDi hai
ye mohabbat rahegi mahshar tak
ek shab ka visal thoDi hai
aankh bhar ke wo dekhta hai mujhe
is ka matlab visal thoDi hai
jao naKHwat tumhein mubarak ho
husn walon ka kal thoDi hai
hijr ka mashwara mufid hoga
dost hai bad-sigal thoDi hai
bose ab lena chhoDiye sahab
gul hai ye us ka gal thoDi hai
un ki nazar-e-karam mein shamil hun
is mein mera kamal thoDi hai
use andha bhi dekh sakta hai
ye badar hai hilal thoDi hai
KHak miTTi tale dabai gai
ruh ka intiqal thoDi hai
KHwab chubhte rahe hain aankhon mein
rang waise hi lal thoDi hai
fikr lahiq hai rozi-roTi ki
mujh ko tera KHayal thoDi hai
sans uncha lun main madine mein
meri itni majal thoDi hai
us se bachna muhaal hai yaro
mere dushman ki chaal thoDi hai
dil ko Thokar zara si lag gai hai
is ka matlab zawal thoDi hai
chhin sakta nahin koi mujh se
'ilm hai ye manal thoDi hai
sare 'ushshaq shad phirte hain
ye barahman ka sal thoDi hai
jab bhi chaho uTha do 'zamzam' ko
ye faqiron ka baal thoDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.