ek wo laDki bhi matlabi hai miyan
ik vo laḌkī bhī matlabī hai miyāñ
pyaar sikkoñ meñ toltī hai hai miyāñ
sar se paañv talak use dekhā
ik banāvaT kī dilkashī hai miyāñ
us ko hājat nahīñ samā.at kī
āñkhoñ āñkhoñ meñ boltī hai miyāñ
kis qadar shaḳhsiyat hai pechīda
yuuñ to chehre pe sādgī hai miyāñ
ek aadat hai mushtarak apnī
rāt-bhar vo bhī jāgtī hai miyāñ
ek wo laDki bhi matlabi hai miyan
pyar sikkon mein tolti hai hai miyan
sar se panw talak use dekha
ek banawaT ki dilkashi hai miyan
us ko hajat nahin samaat ki
aankhon aankhon mein bolti hai miyan
kis qadar shaKHsiyat hai pechida
yun to chehre pe sadgi hai miyan
ek aadat hai mushtarak apni
raat-bhar wo bhi jagti hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.