ek yaad jo mazi ki mere dil mein basi hai
ik yaad jo maazī kī mire dil meñ basī hai
saa.e kī tarah mere ta.āqub meñ lagī hai
ye silsila-e-bahr kahīñ TuuT na jaa.e
aage to faqat pyaas hai aur tishna-labī hai
afsāne kā unvān abhī tak hai adhūrā
mahfil hai sajī sāhab-e-mahfil kī kamī hai
tārīf yahī hai mire andāz-e-suḳhan kī
mahke hue alfāz kī ik shakl-garī hai
ye saaf na hogī kabhī ashkoñ kī laḌī hai
jo gard zamāne kī kitāboñ pe jamī hai
vo dekhiye tham tham ke barasne pe hai maa.il
sharminda mire ashk se sāvan kī jhaḌī hai
kyā ho gayā tujh ko mire ehsās kī duniyā
bujhte hue sho.aloñ se tapish maañg rahī hai
har ruuh meñ 'iqbāl' hai ik rang-e-latāfat
insān kī ta.amīr to miTTī se huī hai
ek yaad jo mazi ki mere dil mein basi hai
sae ki tarah mere taaqub mein lagi hai
ye silsila-e-bahr kahin TuT na jae
aage to faqat pyas hai aur tishna-labi hai
afsane ka unwan abhi tak hai adhura
mahfil hai saji sahab-e-mahfil ki kami hai
tarif yahi hai mere andaz-e-suKHan ki
mahke hue alfaz ki ek shakl-gari hai
ye saf na hogi kabhi ashkon ki laDi hai
jo gard zamane ki kitabon pe jami hai
wo dekhiye tham tham ke barasne pe hai mail
sharminda mere ashk se sawan ki jhaDi hai
kya ho gaya tujh ko mere ehsas ki duniya
bujhte hue shoalon se tapish mang rahi hai
har ruh mein 'iqbaal' hai ek rang-e-latafat
insan ki tamir to miTTi se hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.