ek yaad thi kisi ki jo baadal bani rahi
ik yaad thī kisī kī jo bādal banī rahī
sahrā-nasīb ke liye chhāñv ghanī rahī
vo naqsh huuñ jo ban ke bhī ab tak na ban sakā
vo baat huuñ jo kah ke bhī nāguftanī rahī
patthar kā but, samajh ki ye kis shai ko chhū liyā
barsoñ tamām jism meñ ik sansanī rahī
is jān-e-gul ko dekhte kaise ki aaj tak
ik rañg-o-bū kī sāmne chādar tanī rahī
vo dhund thī ki kuchh bhī dikhā.ī na de sakā
vo habs thā ki kaifiyat-e-jāñkanī rahī
ek yaad thi kisi ki jo baadal bani rahi
sahra-nasib ke liye chhanw ghani rahi
wo naqsh hun jo ban ke bhi ab tak na ban saka
wo baat hun jo kah ke bhi naguftani rahi
patthar ka but, samajh ki ye kis shai ko chhu liya
barson tamam jism mein ek sansani rahi
is jaan-e-gul ko dekhte kaise ki aaj tak
ek rang-o-bu ki samne chadar tani rahi
wo dhund thi ki kuchh bhi dikhai na de saka
wo habs tha ki kaifiyat-e-jaankani rahi
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 107)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.