ek yahi raushni raushni imkan mein hai
ik yahī raushnī raushnī imkān meñ hai
tū abhī tak dil-e-vīrān meñ hai
shor barpā hai tirī yādoñ kā
raunaq-e-hijr bayābān meñ hai
pyaar aur zindagī se lagtā hai
koī zinda-dilī be-jān meñ hai
aaj bhī tere badan kī ḳhushbū
tere bheje hue gul-dān meñ hai
zindagī bhī hai mirī āñkhoñ meñ
maut bhī dīda-e-hairān meñ hai
dil abhī niklā nahīñ siine se
ek qaidī abhī zindān meñ hai
ek yahi raushni raushni imkan mein hai
tu abhi tak dil-e-viran mein hai
shor barpa hai teri yaadon ka
raunaq-e-hijr bayaban mein hai
pyar aur zindagi se lagta hai
koi zinda-dili be-jaan mein hai
aaj bhi tere badan ki KHushbu
tere bheje hue gul-dan mein hai
zindagi bhi hai meri aankhon mein
maut bhi dida-e-hairan mein hai
dil abhi nikla nahin sine se
ek qaidi abhi zindan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.