ek yahi shaghl to main dam hama-dam karta hun
ik yahī shaġhl to maiñ dam hama-dam kartā huuñ
dasht ke baa'd tire kūche meñ ram kartā huuñ
chashm be-ḳhvābī ke 'ālam se guzartī hai mirī
aur maiñ ḳhvāb-e-ma'ānī ko raqam kartā huuñ
ḳhvāh vo zaat meñ ā.īna-e-ḳhud-sar kahlā.e
maiñ bahar-hāl baḌe nāz-o-ni'am kartā huuñ
maiñ sar-e-bazm tirī shoḳhī-e-vahshat ke huzūr
jaañ khapātā huuñ bahut tab koī ġham kartā huuñ
rang-o-farhang se tasḳhīr ziyāda na huī
aur pahle se maiñ ummīd bhī kam kartā huuñ
sar-basar ‘umr-e-do-roza to mujhe sahl nahīñ
ik alag vaz' se maiñ ḳhud ko baham kartā huuñ
kab vo paiġhām-rasā ho ki mujhe sabr nahīñ
kākul-e-ḳham ke liye she'r raqam kartā huuñ
ek yahi shaghl to main dam hama-dam karta hun
dasht ke ba'd tere kuche mein ram karta hun
chashm be-KHwabi ke 'alam se guzarti hai meri
aur main KHwab-e-ma'ani ko raqam karta hun
KHwah wo zat mein aaina-e-KHud-sar kahlae
main bahar-haal baDe naz-o-ni'am karta hun
main sar-e-bazm teri shoKHi-e-wahshat ke huzur
jaan khapata hun bahut tab koi gham karta hun
rang-o-farhang se tasKHir ziyaada na hui
aur pahle se main ummid bhi kam karta hun
sar-basar ‘umr-e-do-roza to mujhe sahl nahin
ek alag waz' se main KHud ko baham karta hun
kab wo paigham-rasa ho ki mujhe sabr nahin
kakul-e-KHam ke liye she'r raqam karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.