ek zalzala sukut ka tanhaiyon mein hai
ek zalzala sukut ka tanhaiyon mein hai
Muhammad Shakeel Akhtar
MORE BYMuhammad Shakeel Akhtar
ik zalzala sukūt kā tanhā.iyoñ meñ hai
kitnā sukūn 'ishq kī rusvā.iyoñ meñ hai
hote raheñ tavīl nigāhoñ ke fāsle
dil kā milan to yādoñ kī gahrā.iyoñ meñ hai
sab se baḌā fareb hai duniyā kī zindagī
duniyā to chand roz kī shahnā.iyoñ meñ hai
ghultā hai ab nigāhoñ meñ nisfunnahār-e-mehr
itnī tapish jamāl kī añgḌā.iyoñ meñ hai
karne lage haiñ log gunah kī vazāhateñ
pākīzgī nigāhoñ kī sachchā.iyoñ meñ hai
'aḳhtar' ko hai gumāñ ki adab kā hai vo nisāb
lekin ġhazal to qāfiya-paimā.iyoñ meñ hai
ek zalzala sukut ka tanhaiyon mein hai
kitna sukun 'ishq ki ruswaiyon mein hai
hote rahen tawil nigahon ke fasle
dil ka milan to yaadon ki gahraiyon mein hai
sab se baDa fareb hai duniya ki zindagi
duniya to chand roz ki shahnaiyon mein hai
ghulta hai ab nigahon mein nisfunnahaar-e-mehr
itni tapish jamal ki angDaiyon mein hai
karne lage hain log gunah ki wazahaten
pakizgi nigahon ki sachchaiyon mein hai
'aKHtar' ko hai guman ki adab ka hai wo nisab
lekin ghazal to qafiya-paimaiyon mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.