ek zamin-doz aasman hun main
ik zamīñ-doz āsmāñ huuñ maiñ
haañ mirī jaan be-nishāñ huuñ maiñ
mujh ko tauhīd ho chukī azbar
lā-makāñ kā nayā makāñ huuñ maiñ
dast-e-qudrat kī shāh-kārī kā
ḳhud meñ ābād ik jahāñ huuñ maiñ
kab se āmāda sajda-rezī par
āb-o-gil hī ke darmiyāñ huuñ maiñ
maut se kahiye aa.e fursat meñ
abhī masrūf-e-imtihāñ huuñ maiñ
kis tarah se bane ziyāda baat
zarra-e-kun huuñ kam-zabāñ huuñ maiñ
lau se bahtī huī ziyā ho tum
lau se uThtā huā dhuāñ huuñ maiñ
jaise tū merā rāz-e-pinhāñ hai
aise hī terā rāz-dāñ huuñ maiñ
jis se larzāñ hai pattharoñ kā vajūd
ā.īna-zād vo fuġhāñ huuñ maiñ
maut to kab kī mar chukī lekin
bazm-e-imkāñ meñ jāvedāñ huuñ maiñ
tum tasalsul na.ī bahāroñ kā
aur ujḌī huī ḳhizāñ huuñ maiñ
terī yādoñ kā is meñ dosh nahīñ
be-sabab aaj nīm-jāñ huuñ maiñ
ek zamin-doz aasman hun main
han meri jaan be-nishan hun main
mujh ko tauhid ho chuki azbar
la-makan ka naya makan hun main
dast-e-qudrat ki shah-kari ka
KHud mein aabaad ek jahan hun main
kab se aamada sajda-rezi par
aab-o-gil hi ke darmiyan hun main
maut se kahiye aae fursat mein
abhi masruf-e-imtihan hun main
kis tarah se bane ziyaada baat
zarra-e-kun hun kam-zaban hun main
lau se bahti hui ziya ho tum
lau se uThta hua dhuan hun main
jaise tu mera raaz-e-pinhan hai
aise hi tera raaz-dan hun main
jis se larzan hai pattharon ka wajud
aaina-zad wo fughan hun main
maut to kab ki mar chuki lekin
bazm-e-imkan mein jawedan hun main
tum tasalsul nai bahaaron ka
aur ujDi hui KHizan hun main
teri yaadon ka is mein dosh nahin
be-sabab aaj nim-jaan hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.