ek zara sa bigaD hone se
ik zarā sā bigāḌ hone se
gir ga.ī chhat darāḌ hone se
varna āñdhī gharoñ meñ ghus aatī
bach ga.e ham kivāḌ hone se
tere jaate hī terī yaad aa.ī
rah gayā dil ujaaḌ hone se
kitne asbāb janm lete haiñ
be-sabab bhīḌ-bhāḌ hone se
dhuup kamre meñ aa nahīñ paatī
ek parde kī aaḌ hone se
ek zara sa bigaD hone se
gir gai chhat daraD hone se
warna aandhi gharon mein ghus aati
bach gae hum kiwaD hone se
tere jate hi teri yaad aai
rah gaya dil ujaD hone se
kitne asbab janm lete hain
be-sabab bhiD-bhaD hone se
dhup kamre mein aa nahin pati
ek parde ki aaD hone se
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 86)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.