ek zara si dil ki hasrat tum se ulfat aur tum
ek zara si dil ki hasrat tum se ulfat aur tum
Anjuman Mansury Arzoo
MORE BYAnjuman Mansury Arzoo
ik zarā sī dil kī hasrat tum se ulfat aur tum
bas hai itnī sī zarūrat thoḌī rāhat aur tum
muddatoñ se muḳhtalif haiñ merī qismat aur tum
kyoñ muqaddar meñ nahīñ tum se mohabbat aur tum
ho bahut masrūf tum yā hai koī nārāzgī
saath meñ milte nahīñ ab thoḌī fursat aur tum
tum bichhaḌ kar bhī na mujh se ho sake pal-bhar judā
mujh meñ baaqī hai tumhārī har ik aadat aur tum
apne āñgan se nahīñ kuchh dūriyoñ se hī sahī
hai mujhe hāsil tumhāre gul kī nik.hat aur tum
huuñ baḌī mushkil meñ apne dil-makāñ ko dekh kar
saath kaise rah sakeñge is meñ vahdat aur tum
munhasir tum par hai mere dil kī har ik aarzū
ek minnat ek jannat ek farhat aur tum
ek zara si dil ki hasrat tum se ulfat aur tum
bas hai itni si zarurat thoDi rahat aur tum
muddaton se muKHtalif hain meri qismat aur tum
kyon muqaddar mein nahin tum se mohabbat aur tum
ho bahut masruf tum ya hai koi naraazgi
sath mein milte nahin ab thoDi fursat aur tum
tum bichhaD kar bhi na mujh se ho sake pal-bhar juda
mujh mein baqi hai tumhaari har ek aadat aur tum
apne aangan se nahin kuchh duriyon se hi sahi
hai mujhe hasil tumhaare gul ki nikhat aur tum
hun baDi mushkil mein apne dil-makan ko dekh kar
sath kaise rah sakenge is mein wahdat aur tum
munhasir tum par hai mere dil ki har ek aarzu
ek minnat ek jannat ek farhat aur tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.