ik zarā tum se shanāsā.ī huī
shahr-bhar meñ merī rusvā.ī huī
husn ko koī bhī de paayā na maat
jab huī āshiq kī paspā.ī huī
dekhne ko kuchh nahīñ thā gar yahāñ
chashm-e-bīnā kyuuñ tamāshā.ī huī
us ne pūchhā mere aane kā sabab
maiñ ne ye jaanā pazīrā.ī huī
iltijā dohrā rahā huuñ phir vo 'josh'
jo hai lākhoñ baar dohrā.ī huī
ek zara tum se shanasai hui
shahr-bhar mein meri ruswai hui
husn ko koi bhi de paya na mat
jab hui aashiq ki paspai hui
dekhne ko kuchh nahin tha gar yahan
chashm-e-bina kyun tamashai hui
us ne puchha mere aane ka sabab
main ne ye jaana pazirai hui
iltija dohra raha hun phir wo 'josh'
jo hai lakhon bar dohrai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.