iKHlas ki qadron ka sawali hai to la hath
iKHlas ki qadron ka sawali hai to la hath
Qazi Abdur Rauf Anjum
MORE BYQazi Abdur Rauf Anjum
iḳhlās kī qadroñ kā savālī hai to lā haath
ham log isī shahr ke baasī haiñ milā haath
logoñ ne sukūñ DhūñD liyā shahr meñ jā kar
ham DhūñDne jaate haiñ to aatī hai balā haath
dariyā ke talātum se taḌapne kī adā siikh
jiinā hai to mañjdhār ke andar bhī hilā haath
ruḳhsat huī fir.aun ke mahloñ se ḳhudā.ī
niklā jo garebān se ik nuur bharā haath
jiine kī tamanna thī ki thā āḳhirī paiġhām
aatā thā nazar Dūbne vaale kā uThā haath
lagtā hai ki mābain hai mīloñ kī masāfat
thā us kā mirā fāsla bas haath savā haath
tashkīk ke girdāb Dubote haiñ ilāhī
DhūñDe hai tire haath ko aise meñ mirā haath
'anjum' yahāñ saf-ārā haiñ jādūī sañpole
jiinā hai to kar sehr-shikan ek asā haath
iKHlas ki qadron ka sawali hai to la hath
hum log isi shahr ke basi hain mila hath
logon ne sukun DhunD liya shahr mein ja kar
hum DhunDne jate hain to aati hai bala hath
dariya ke talatum se taDapne ki ada sikh
jina hai to manjdhaar ke andar bhi hila hath
ruKHsat hui firaun ke mahlon se KHudai
nikla jo gareban se ek nur bhara hath
jine ki tamanna thi ki tha aaKHiri paigham
aata tha nazar Dubne wale ka uTha hath
lagta hai ki mabain hai milon ki masafat
tha us ka mera fasla bas hath sawa hath
tashkik ke girdab Dubote hain ilahi
DhunDe hai tere hath ko aise mein mera hath
'anjum' yahan saf-ara hain jadui sanpole
jina hai to kar sehr-shikan ek asa hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.