iKHtilafat mein bimar nazar aate hain
iḳhtilāfāt meñ bīmār nazar aate haiñ
mujh ko ye saare hī bezār nazar aate haiñ
jitne jāhil haiñ nikamme haiñ uchakke haiñ yahāñ
vahī hākim ke taraf-dār nazar aate haiñ
hukm-e-zardār ye hai un ko nazar-band karo
amn ke jo bhī taraf-dār nazar aate haiñ
āñsuoñ kī to in āñkhoñ meñ kuchh auqāt nahīñ
garche aate haiñ to bekār nazar aate haiñ
saare rangoñ ke guloñ se hai chaman kī zīnat
ye chaman jo abhī gulzār nazar aate haiñ
ab jo likh dī hai haqīqat to ham 'az.har' sab ko
haiñ to shā'ir par adākār nazar aate haiñ
iKHtilafat mein bimar nazar aate hain
mujh ko ye sare hi bezar nazar aate hain
jitne jahil hain nikamme hain uchakke hain yahan
wahi hakim ke taraf-dar nazar aate hain
hukm-e-zardar ye hai un ko nazar-band karo
amn ke jo bhi taraf-dar nazar aate hain
aansuon ki to in aankhon mein kuchh auqat nahin
garche aate hain to bekar nazar aate hain
sare rangon ke gulon se hai chaman ki zinat
ye chaman jo abhi gulzar nazar aate hain
ab jo likh di hai haqiqat to hum 'azhar' sab ko
hain to sha'ir par adakar nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.