iKHtiyar aapko hai chahe to har-su rakhiye
iḳhtiyār aap ko hai chāhe to har-sū rakhiye
vaise chehre se haTā.e hue gesū rakhiye
dard meñ Duubā huā dil ye bahar-sū rakhiye
misl-e-sīmāb machaltā huā pahlū rakhiye
ahd-e-māzī kī tamannā.eñ liye ab dil meñ
apne aslāf ke ausāf kī ḳhū bū rakhiye
log takfīn kī tayyārī kiye baiThe haiñ
aap siine se lagā.e hue urdu rakhiye
shān-e-ḳhuddārī pe aañch aa na sake ai 'hamdam'
apnī palkoñ pe sameTe hue aañsū rakhiye
iKHtiyar aap ko hai chahe to har-su rakhiye
waise chehre se haTae hue gesu rakhiye
dard mein Duba hua dil ye bahar-su rakhiye
misl-e-simab machalta hua pahlu rakhiye
ahd-e-mazi ki tamannaen liye ab dil mein
apne aslaf ke ausaf ki KHu bu rakhiye
log takfin ki tayyari kiye baiThe hain
aap sine se lagae hue urdu rakhiye
shan-e-KHuddari pe aanch aa na sake ai 'hamdam'
apni palkon pe sameTe hue aansu rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.