ilahi ab ke jo aae to yun bahaar aae
ilāhī ab ke jo aa.e to yuuñ bahār aa.e
ki apne saath liye bū-e-zulf-e-yār aa.e
ye baat kyā hai jo yuuñ kho.e kho.e rahte ho
zarūr tum kahīñ jā kar dil apnā haar aa.e
jab un kī bazm ho ham hoñ aur un ke jalve hoñ
vo din bhī ziist meñ ai kaash ek baar aa.e
hamāre ghar bhī vo ik din zarūr ā.eñge
tamām umr is ummīd par guzār aa.e
yahīñ tamām hoñ apnī bachī-khuchī sāñseñ
tamanna le ke yahī ham tire dayār aa.e
dil-o-jigar hoñ agar mubtalā-e-dard-e-firāq
kisī ko aise meñ aa.e to kyā qarār aa.e
ye apnā apnā muqaddar hai is ko kyā kiije
kisī ko gul to mayassar kisī ko ḳhaar aa.e
vatan ko de na sake kuchh bhī khokhle na.are
jab aa.e kaam to bas ham vafā-shi.ār aa.e
hamesha jin ke liye jaan detā rahtā thā
tujhe 'nasīr' vahī qabr meñ utaar aa.e
ilahi ab ke jo aae to yun bahaar aae
ki apne sath liye bu-e-zulf-e-yar aae
ye baat kya hai jo yun khoe khoe rahte ho
zarur tum kahin ja kar dil apna haar aae
jab un ki bazm ho hum hon aur un ke jalwe hon
wo din bhi zist mein ai kash ek bar aae
hamare ghar bhi wo ek din zarur aaenge
tamam umr is ummid par guzar aae
yahin tamam hon apni bachi-khuchi sansen
tamanna le ke yahi hum tere dayar aae
dil-o-jigar hon agar mubtala-e-dard-e-firaq
kisi ko aise mein aae to kya qarar aae
ye apna apna muqaddar hai is ko kya kije
kisi ko gul to mayassar kisi ko KHar aae
watan ko de na sake kuchh bhi khokhle nare
jab aae kaam to bas hum wafa-shiar aae
hamesha jin ke liye jaan deta rahta tha
tujhe 'nasir' wahi qabr mein utar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.