ilahi dil wo de jo mahram-e-asrar ho jae
ilāhī dil vo de jo mahram-e-asrār ho jaa.e
kahīñ aisā na ho jiinā mirā be-kār ho jaa.e
vo kaisā dil hai dil jo dard se bezār ho jaa.e
vo kaisī zindagī jo zindagī par baar ho jaa.e
isī meñ hai ḳhushī har ġham se mujh ko pyaar ho jaa.e
jo honā ho vo merī jaan ko āzār ho jaa.e
anādil naġhma-zan hoñ to chaman bedār ho jaa.e
pareshāñ bū-e-gul ho to fazā sarshār ho jaa.e
alam-bardār-e-amn-o-āshtī hoshyār ho jaa.e
taqāzā vaqt kā ye hai ki duniyā-dār ho jaa.e
ye maanā parda-dārī bhī bahut pur-lutf hotī hai
burā kyā hai mohabbat kā agar iz.hār ho jaa.e
mizāj-e-ahl-e-dil kī imtiyāzī shaan to dekho
jo dushman jān-o-dil kā hai usī se pyaar ho jaa.e
kuchh aisī baat ho jo mūjib-e-taskīn-e-ḳhātir ho
vo kyā iqrār hai jo bā.is-e-āzār ho jaa.e
maiñ apnī vaz.a-dārī haath se jaane nahīñ dūñgā
agar saarā jahāñ bhī darpai-e-āzār ho jaa.e
ġham-o-andoh meñ to muskurānā merī fitrat hai
rahūñ afsurda-dil to zindagī dushvār ho jaa.e
mujhe bechārgī bhī vo atā kar dekh kar jis ko
koī ham-dam koī monis koī ġham-ḳhvār ho jaa.e
vo harf-e-ārzū jis par mukammal zabt hai ab tak
kahīñ aisā na ho sharminda-e-iz.hār ho jaa.e
numā.ish to bajā hai jalva-e-husn-e-mujassam kī
ye lāzim hai nazar shā.ista-e-dīdār ho jaa.e
ġham-o-ālām hī meñ hausle dil ke nikalte haiñ
agar āsāniyāñ hoñ zindagī dushvār ho jaa.e
bashar ko dekhiye da.avā hai tasḳhīr-e-do-ālam kā
ḳhudā jaane ye kyā kar de agar muḳhtār ho jaa.e
'kañval' mai-ḳhvār kyā jaane surūr-e-be-ḳhudī kyā hai
usī se pūchhiye jo be-piye sarshār ho jaa.e
ilahi dil wo de jo mahram-e-asrar ho jae
kahin aisa na ho jina mera be-kar ho jae
wo kaisa dil hai dil jo dard se bezar ho jae
wo kaisi zindagi jo zindagi par bar ho jae
isi mein hai KHushi har gham se mujh ko pyar ho jae
jo hona ho wo meri jaan ko aazar ho jae
anadil naghma-zan hon to chaman bedar ho jae
pareshan bu-e-gul ho to faza sarshaar ho jae
alam-bardar-e-amn-o-ashti hoshyar ho jae
taqaza waqt ka ye hai ki duniya-dar ho jae
ye mana parda-dari bhi bahut pur-lutf hoti hai
bura kya hai mohabbat ka agar izhaar ho jae
mizaj-e-ahl-e-dil ki imtiyazi shan to dekho
jo dushman jaan-o-dil ka hai usi se pyar ho jae
kuchh aisi baat ho jo mujib-e-taskin-e-KHatir ho
wo kya iqrar hai jo bais-e-azar ho jae
main apni waza-dari hath se jaane nahin dunga
agar sara jahan bhi darpai-e-azar ho jae
gham-o-andoh mein to muskurana meri fitrat hai
rahun afsurda-dil to zindagi dushwar ho jae
mujhe bechaargi bhi wo ata kar dekh kar jis ko
koi ham-dam koi monis koi gham-KHwar ho jae
wo harf-e-arzu jis par mukammal zabt hai ab tak
kahin aisa na ho sharminda-e-izhaar ho jae
numaish to baja hai jalwa-e-husn-e-mujassam ki
ye lazim hai nazar shaista-e-didar ho jae
gham-o-alam hi mein hausle dil ke nikalte hain
agar aasaniyan hon zindagi dushwar ho jae
bashar ko dekhiye dawa hai tasKHir-e-do-alam ka
KHuda jaane ye kya kar de agar muKHtar ho jae
'kanwal' mai-KHwar kya jaane surur-e-be-KHudi kya hai
usi se puchhiye jo be-piye sarshaar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.