ilahi KHair ho ab apne aashiyane ki
ilāhī ḳhair ho ab apne āshiyāne kī
nigāheñ us kī taraf phir uThīñ zamāne kī
havā-e-tund guzar jaa.e sar-nigūñ ho kar
ik aisā āshiyāñ koshish karo banāne kī
ḳhizāñ ke aane se ho jaa.eñ ġham-zada jo phuul
unheñ qasam hai bahāroñ meñ muskurāne kī
kisī kī barq-e-nazar se na bijliyoñ se jale
kuchh is tarah kī ho ta.amīr āshiyāne kī
vo pūchhte haiñ ki din kis tarah guzarte haiñ
ye koī baat hai 'tābāñ' unheñ batāne kī
ilahi KHair ho ab apne aashiyane ki
nigahen us ki taraf phir uThin zamane ki
hawa-e-tund guzar jae sar-nigun ho kar
ek aisa aashiyan koshish karo banane ki
KHizan ke aane se ho jaen gham-zada jo phul
unhen qasam hai bahaaron mein muskurane ki
kisi ki barq-e-nazar se na bijliyon se jale
kuchh is tarah ki ho tamir aashiyane ki
wo puchhte hain ki din kis tarah guzarte hain
ye koi baat hai 'taban' unhen batane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.