ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal
ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal
Mirza Asman Jah Anjum
MORE BYMirza Asman Jah Anjum
ilāhī koī havā kā jhoñkā dikhā de chehra uḌā ke āñchal
ki jhāñktā bhī hai vo sitam-gar to khaḌkhaḌī meñ lagā ke āñchal
zarūr Dhā.egā koī aafat zarūr fitna bapā karegā
ye terā aTkheliyoñ se chalnā jhukā ke gardan uThā ke āñchal
jo tum ko manzūr hai phir aanā tumhīñ kaho phir ye kaisā jaanā
jatā ke ġhussa sunā ke bāteñ chaḌhā ke tevarī chhuḌā ke āñchal
zamāna furqat kā jaa.e yā-rab vo vaqt vo din bhī aa.e yā-rab
adā karūñ maiñ tirā dogānā khaḌe raheñ vo bichhā ke āñchal
zarūr haiñ kuchh na kuchh kashīda ki rahte haiñ duur duur ham se
jo paas bhī aa ke baiThte haiñ to zer-e-zānū dabā ke āñchal
tumheñ hai sāhib lihāz kis kā ye kosnā chupke chupke kaisā
duā karūñ maiñ ragaḌ ke māthā kaho tum āmīn uThā ke āñchal
tirā ye buuTā sā qad qayāmat pe chaal matvālī aafat aafat
ye pyārī sūrat sitam dupaTTa ġhazab kī rañgat balā ke āñchal
samajh le ye dil meñ 'āsmāñ' tū vo loT haiñ tere loTne par
jo oḌh kar laTpaTā dupaTTa luTāte haiñ adbadā ke āñchal
ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal
ki jhankta bhi hai wo sitam-gar to khaDkhaDi mein laga ke aanchal
zarur Dhaega koi aafat zarur fitna bapa karega
ye tera aTkheliyon se chalna jhuka ke gardan uTha ke aanchal
jo tum ko manzur hai phir aana tumhin kaho phir ye kaisa jaana
jata ke ghussa suna ke baaten chaDha ke tewari chhuDa ke aanchal
zamana furqat ka jae ya-rab wo waqt wo din bhi aae ya-rab
ada karun main tera dogana khaDe rahen wo bichha ke aanchal
zarur hain kuchh na kuchh kashida ki rahte hain dur dur hum se
jo pas bhi aa ke baiThte hain to zer-e-zanu daba ke aanchal
tumhein hai sahib lihaz kis ka ye kosna chupke chupke kaisa
dua karun main ragaD ke matha kaho tum aamin uTha ke aanchal
tera ye buTa sa qad qayamat pe chaal matwali aafat aafat
ye pyari surat sitam dupaTTa ghazab ki rangat bala ke aanchal
samajh le ye dil mein 'asman' tu wo loT hain tere loTne par
jo oDh kar laTpaTa dupaTTa luTate hain adbada ke aanchal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.