ilahi tauba duniya mein ye kaisa inqalab aaya
ilahi tauba duniya mein ye kaisa inqalab aaya
Mohammad Saleem Nashtar
MORE BYMohammad Saleem Nashtar
ilāhī tauba duniyā meñ ye kaisā inqalāb aayā
yahāñ koī nahīñ apnā azīzoñ kā javāb aayā
mire nazzāra-e-pur-shauq kī takmīl kyā hotī
idhar palkoñ ne jumbish kī udhar ruḳh par naqāb aayā
usī kī diid kī ḳhātir rahī haiñ muntazir āñkheñ
jo fitna-gar ruḳh-e-pur-nūr par Daale naqāb aayā
ḳhamoshī hī faqat hai dāstāñ apnī dil-e-muztar
fareb-e-zindagī khāyā alam bhī be-hisāb aayā
vo iz.hār-e-mohabbat par mire ghabrā ke yuuñ bole
falak ne kyā sitam Dhāyā ḳhudāyā kyā azaab aayā
jalan se ġhair ke chehre kī rangat uḌ ga.ī 'nashtar'
abhī ḳhālī hamāre haath meñ jām-e-sharāb aayā
ilahi tauba duniya mein ye kaisa inqalab aaya
yahan koi nahin apna azizon ka jawab aaya
mere nazzara-e-pur-shauq ki takmil kya hoti
idhar palkon ne jumbish ki udhar ruKH par naqab aaya
usi ki did ki KHatir rahi hain muntazir aankhen
jo fitna-gar ruKH-e-pur-nur par Dale naqab aaya
KHamoshi hi faqat hai dastan apni dil-e-muztar
fareb-e-zindagi khaya alam bhi be-hisab aaya
wo izhaar-e-mohabbat par mere ghabra ke yun bole
falak ne kya sitam Dhaya KHudaya kya azab aaya
jalan se ghair ke chehre ki rangat uD gai 'nashtar'
abhi KHali hamare hath mein jam-e-sharab aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.