ilaj-e-gham wo paiham kar rahe hain
ilāj-e-ġham vo paiham kar rahe haiñ
mire ġham-ḳhvār mātam kar rahe haiñ
hai ik girdāb ke markaz pe duniyā
ham apnī aañkh bhar nam kar rahe haiñ
ham apne aap se nārāz rah kar
kisī kā bojh kuchh kam kar rahe haiñ
ḳhudā ke kaam haiñ sach pūchhiye to
jinheñ ham ibn-e-ādam kar rahe haiñ
hamārī ḳhaak māñgī jā rahī hai
junūñ shāyad mujassam kar rahe haiñ
ilaj-e-gham wo paiham kar rahe hain
mere gham-KHwar matam kar rahe hain
hai ek girdab ke markaz pe duniya
hum apni aankh bhar nam kar rahe hain
hum apne aap se naraaz rah kar
kisi ka bojh kuchh kam kar rahe hain
KHuda ke kaam hain sach puchhiye to
jinhen hum ibn-e-adam kar rahe hain
hamari KHak mangi ja rahi hai
junun shayad mujassam kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.