ilaj is ka kahin par bhi nahin hai
ilaaj is kā kahīñ par bhī nahīñ hai
mohabbat hai ye bīmārī nahīñ hai
tumhāre baad ye jaanā ki duniyā
burī to hai magar itnī nahīñ hai
ajab sī ek vīrānī hai dil meñ
ġhazab ye hai ki tanhā.ī nahīñ hai
mujhe darkār terā saath bhī hai
tasavvur hī tirā kaafī nahīñ hai
faqat ik mom se dil ke alāva
koī bhī mujh meñ achchhā.ī nahīñ hai
tumhāre baad bhī ham ne tumhārī
kabhī jhūTī qasam khaa.ī nahīñ hai
mire jaisoñ kā 'iqrā' kyā saverā
ujālā hai to bīnā.ī nahīñ hai
ilaj is ka kahin par bhi nahin hai
mohabbat hai ye bimari nahin hai
tumhaare baad ye jaana ki duniya
buri to hai magar itni nahin hai
ajab si ek virani hai dil mein
ghazab ye hai ki tanhai nahin hai
mujhe darkar tera sath bhi hai
tasawwur hi tera kafi nahin hai
faqat ek mom se dil ke alawa
koi bhi mujh mein achchhai nahin hai
tumhaare baad bhi hum ne tumhaari
kabhi jhuTi qasam khai nahin hai
mere jaison ka 'iqra' kya sawera
ujala hai to binai nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.