ilm ki sham andhera nahin hone deti
'ilm kī sham' añdherā nahīñ hone detī
apne kirdār ko mailā nahīñ hone detī
apne aslāf kī tā'līm hī kuchh aisī hai
azm-o-himmat ko jo paspā nahīñ hone detī
gardish-e-ḳhūn rag-o-pai meñ abhī jaarī hai
ik yahī soch nikammā nahīñ hone detī
ḳhanda-peshānī se har ek se pesh aatā huuñ
merī 'ādat mujhe rusvā nahīñ hone detī
zindagī se mirī vābasta haiñ yuuñ ranj-o-alam
yaad un kī kabhī tanhā nahīñ hone detī
na shikāyat hai thakan kī na gila mehnat kā
zimmedārī mujhe būḌhā nahīñ hone detī
jab se hālāt se samjhautā kiyā hai 'jhanjhaT'
muflisī merā tamāshā nahīñ hone detī
'ilm ki sham' andhera nahin hone deti
apne kirdar ko maila nahin hone deti
apne aslaf ki ta'lim hi kuchh aisi hai
azm-o-himmat ko jo paspa nahin hone deti
gardish-e-KHun rag-o-pai mein abhi jari hai
ek yahi soch nikamma nahin hone deti
KHanda-peshani se har ek se pesh aata hun
meri 'adat mujhe ruswa nahin hone deti
zindagi se meri wabasta hain yun ranj-o-alam
yaad un ki kabhi tanha nahin hone deti
na shikayat hai thakan ki na gila mehnat ka
zimmedari mujhe buDha nahin hone deti
jab se haalat se samjhauta kiya hai 'jhanjhaT'
muflisi mera tamasha nahin hone deti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.