ilm ko apne ba-waqar karo
ilm ko apne bā-vaqār karo
jāhiloñ meñ mirā shumār karo
dost sab kaam kar chuke apnā
sochte kyā ho tum bhī vaar karo
fan kise chāhiye so aise meñ
bas tarannum kā kārobār karo
pagḌī aa.ī to sar bhī aa.egā
aur kuchh der intizār karo
din meñ tā'bīreñ TūTtī dekho
raat bhar ḳhvāb kā shikār karo
bojh hai sar bhī jin ke kāñdhoñ par
aise logoñ se ḳhuub pyaar karo
tair kar log Duub jaate haiñ
Duub kar aaj dariyā paar karo
kaun 'farhat' vo haq-navā 'farhat'
be-takalluf use shikār karo
ilm ko apne ba-waqar karo
jahilon mein mera shumar karo
dost sab kaam kar chuke apna
sochte kya ho tum bhi war karo
fan kise chahiye so aise mein
bas tarannum ka karobar karo
pagDi aai to sar bhi aaega
aur kuchh der intizar karo
din mein ta'biren TuTti dekho
raat bhar KHwab ka shikar karo
bojh hai sar bhi jin ke kandhon par
aise logon se KHub pyar karo
tair kar log Dub jate hain
Dub kar aaj dariya par karo
kaun 'farhat' wo haq-nawa 'farhat'
be-takalluf use shikar karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.