ilm ko parhez-gari chahiye
ilm ko parhez-gari chahiye
Abu Mohammad Syed Husain Saifi
MORE BYAbu Mohammad Syed Husain Saifi
ilm ko parhez-gārī chāhiye
gulshanoñ ko ābiyārī chāhiye
sab ko ḳhvāhish hai hukūmat kī magar
himmatoñ meñ pā.edārī chāhiye
ek bo kar kāTte haiñ jab hazār
be-zaroñ kī kisht-kārī chāhiye
gard ūñchī ho ke bantī hai ġhubār
ḳhākiyoñ ko ḳhāksārī chāhiye
tuḳhm bote hī nahīñ milte samar
har jagah ummīd-vārī chāhiye
hukmarānoñ ke liye hai lāzmī
yuuñ to sab ko rāzdārī chāhiye
kah rahe haiñ tajrabe europe ke ye
auratoñ ko parda-dārī chāhiye
aish kī jā ḳhush-dilī darkār hai
ġham-kade meñ sogvārī chāhiye
ḳhatm par har ranj ke jab aish hai
āsiyoñ ko ashk-bārī chāhiye
hākimoñ kī mehrbānī ke liye
mehnat-o-ḳhidmat-guzārī chāhiye
dīn-o-duniyā kī masarrat ke liye
mard-o-zan meñ ḳhush-gavarī chāhiye
afv ko hujjat se jab 'saifī' hai buġhz
ḳhātiyoñ ko sharmsārī chāhiye
ilm ko parhez-gari chahiye
gulshanon ko aabiyari chahiye
sab ko KHwahish hai hukumat ki magar
himmaton mein paedari chahiye
ek bo kar kaTte hain jab hazar
be-zaron ki kisht-kari chahiye
gard unchi ho ke banti hai ghubar
KHakiyon ko KHaksari chahiye
tuKHm bote hi nahin milte samar
har jagah ummid-wari chahiye
hukmaranon ke liye hai lazmi
yun to sab ko raazdari chahiye
kah rahe hain tajrabe europe ke ye
auraton ko parda-dari chahiye
aish ki ja KHush-dili darkar hai
gham-kade mein sogwari chahiye
KHatm par har ranj ke jab aish hai
aasiyon ko ashk-bari chahiye
hakimon ki mehrbani ke liye
mehnat-o-KHidmat-guzari chahiye
din-o-duniya ki masarrat ke liye
mard-o-zan mein KHush-gawari chahiye
afw ko hujjat se jab 'saifi' hai bughz
KHatiyon ko sharmsari chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.