ilm-o-fan ka jo talabgar nahin ho sakta
ilm-o-fan kā jo talabgār nahīñ ho saktā
merā da.avā hai vo fankār nahīñ ho saktā
aaj vo ishq meñ marne pe bhī āmāda hai
kal jo kahtā thā mujhe pyaar nahīñ ho saktā
jhuuT bolā bhī to ma.asūm kī jaañ kī ḳhātir
maiñ ḳhatāvār gunahgār nahīñ ho saktā
vo yaqīnan hai mire saath mirī rag rag meñ
us kā dhokā mujhe har baar nahīñ ho saktā
mujh ko bastī ke sabhī log duā dete haiñ
merā rasta kabhī dushvār nahīñ ho saktā
jo zamīñ chhoḌ de shohrat ke liye pal bhar meñ
vo bulandī kā to haqdār nahīñ ho saktā
maiñ ne rakkhā hai bharam apnī zabāñ kā 'sājid'
merā lahja kabhī talvār nahīñ ho saktā
ilm-o-fan ka jo talabgar nahin ho sakta
mera dawa hai wo fankar nahin ho sakta
aaj wo ishq mein marne pe bhi aamada hai
kal jo kahta tha mujhe pyar nahin ho sakta
jhuT bola bhi to masum ki jaan ki KHatir
main KHatawar gunahgar nahin ho sakta
wo yaqinan hai mere sath meri rag rag mein
us ka dhoka mujhe har bar nahin ho sakta
mujh ko basti ke sabhi log dua dete hain
mera rasta kabhi dushwar nahin ho sakta
jo zamin chhoD de shohrat ke liye pal bhar mein
wo bulandi ka to haqdar nahin ho sakta
main ne rakkha hai bharam apni zaban ka 'sajid'
mera lahja kabhi talwar nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.