iltifat-ashna hijab tera
iltifāt-āshnā hijāb tirā
lutf-e-pinhāñ hai ijtināb tirā
kyā milā hai ma.āl-e-bedārī
merī āñkheñ haiñ aur ḳhvāb tirā
dil se kartā huuñ laakh laakh savāl
yaad aatā hai jab javāb tirā
koī dekhe tujhe to kyā dekhe
ki tirā husn hai naqāb tirā
haa.e un laġhzishoñ kī ra.anā.ī
DhūñDhtā hai jinheñ itaab tirā
ishrat-e-dil thī dil kī barbādī
TuuT kar ban gayā rabāb tirā
kis se pūchheñ ki ab kahāñ hai 'ravish'
haa.e vo ḳhānumāñ-ḳharāb tirā
iltifat-ashna hijab tera
lutf-e-pinhan hai ijtinab tera
kya mila hai maal-e-bedari
meri aankhen hain aur KHwab tera
dil se karta hun lakh lakh sawal
yaad aata hai jab jawab tera
koi dekhe tujhe to kya dekhe
ki tera husn hai naqab tera
hae un laghzishon ki ranai
DhunDhta hai jinhen itab tera
ishrat-e-dil thi dil ki barbaadi
TuT kar ban gaya rabab tera
kis se puchhen ki ab kahan hai 'rawish'
hae wo KHanuman-KHarab tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.