ilzam-e-tirgi ke sada us pe aae hain
ilzām-e-tīrgī ke sadā us pe aa.e haiñ
jis ne charāġh apne lahū se jalā.e haiñ
shāyad use hamārī anā kā gumāñ na thā
ham tishnagī paTak ke samundar se aa.e haiñ
ye dilkashī subūt hai ai jān-e-shā.irī
phūloñ ne rang tere laboñ se churā.e haiñ
hairāñ hai vo bhī vus'at-e-parvāz dekh kar
jis ne hamārī fikr pe pahre biThā.e haiñ
tark-e-ta'alluqāt pe vo bhī the ġham-zada
aur ham bhī apnī zaat se jang haar aa.e haiñ
ab naam kyā batā.ūñ ki ġham kis kā hai 'sabā'
āñkheñ mirī zarūr haiñ aañsū parā.e haiñ
ilzam-e-tirgi ke sada us pe aae hain
jis ne charagh apne lahu se jalae hain
shayad use hamari ana ka guman na tha
hum tishnagi paTak ke samundar se aae hain
ye dilkashi subut hai ai jaan-e-shairi
phulon ne rang tere labon se churae hain
hairan hai wo bhi wus'at-e-parwaz dekh kar
jis ne hamari fikr pe pahre biThae hain
tark-e-ta'alluqat pe wo bhi the gham-zada
aur hum bhi apni zat se jang haar aae hain
ab nam kya bataun ki gham kis ka hai 'saba'
aankhen meri zarur hain aansu parae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.