imkan ki hadon se nikal kar bhi dekh lo
imkān kī hadoñ se nikal kar bhī dekh lo
maiñ kar rahā huuñ apnī fazā ke umas se jang
maiñ huuñ anā ke koh-e-falak-bos kā raqīb
mujh ko ravā nahīñ hai kisī ḳhār-o-ḳhas se jang
har ek pankhuḌī se ġhizā chuus lī ga.ī
phūloñ kī der tak rahī jaarī magas se jang
jab bhī karoge haq ko miTāne kī justujū
mīnāroñ masjidoñ kī rahegī kalas se jang
is nā-tavānī-e-shab-e-ġham meñ bhī ai 'valī'
kartā rahā huuñ roz maiñ do-chār das se jang
imkan ki hadon se nikal kar bhi dekh lo
main kar raha hun apni faza ke umas se jang
main hun ana ke koh-e-falak-bos ka raqib
mujh ko rawa nahin hai kisi KHar-o-KHas se jang
har ek pankhuDi se ghiza chus li gai
phulon ki der tak rahi jari magas se jang
jab bhi karoge haq ko miTane ki justuju
minaron masjidon ki rahegi kalas se jang
is na-tawani-e-shab-e-gham mein bhi ai 'wali'
karta raha hun roz main do-chaar das se jang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.