imkanon se aage mere dosh paDi hain
imkānoñ se aage mere dosh paḌī haiñ
jānī-pahchānī āvāzeñ gosh paḌī haiñ
tab se huuñ kis sannāTe meñ kyā batlā.ūñ
kuchh pahchāneñ jab se mere hosh paḌī haiñ
tārīkī kyā zāhir kar pā.egī un ko
raushniyoñ meñ jo shakleñ rū-posh paḌī haiñ
ḳhvāb ajdād ke beToñ kā rasta takte haiñ
daur-e-falak par ta.abīreñ ḳhāmosh paḌī haiñ
nutfe jo bāzār se aa.e haiñ kis ke haiñ
ye bāteñ ab tak na kisī ke hosh paḌī haiñ
mustaqbil had-darja ḳhush-ā.inde huā hai
pichhlī qadroñ se nasleñ be-gosh paḌī haiñ
pushtoñ par sannāTā taarī hone ko hai
aulādeñ ham-jinsī meñ mad.hosh paḌī haiñ
sust-ḳhirāmoñ ne phir se manzil maarī hai
raftīzoñ kī nīndeñ phir ḳhargosh paḌī haiñ
imkanon se aage mere dosh paDi hain
jaani-pahchani aawazen gosh paDi hain
tab se hun kis sannaTe mein kya batlaun
kuchh pahchanen jab se mere hosh paDi hain
tariki kya zahir kar paegi un ko
raushniyon mein jo shaklen ru-posh paDi hain
KHwab ajdad ke beTon ka rasta takte hain
daur-e-falak par tabiren KHamosh paDi hain
nutfe jo bazar se aae hain kis ke hain
ye baaten ab tak na kisi ke hosh paDi hain
mustaqbil had-darja KHush-ainde hua hai
pichhli qadron se naslen be-gosh paDi hain
pushton par sannaTa tari hone ko hai
auladen ham-jinsi mein madhosh paDi hain
sust-KHiramon ne phir se manzil mari hai
raftizon ki ninden phir KHargosh paDi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.